Tarun – “ tina d please ak plate khana le kr aao na “
Tina- “ lekin tum ne to dinner kr liya na “
Itna sun kr tarun bina kuch bole tiya ki or isara karta hai. tina samgh jati hai. or niche chali jati hai.. tiya bhi waha se jane lagti hai lekin taurn ne uska hath pakada hua hai. or usse khich kr wapas apne paas biatha leta hai..
Tarun – “ kha ja rahi ho. ? “
Tiya – “ mughe nind aa rahi hai.. “
Tarun – “ bukhe pet nind nahi aati “
Tiya – “ maine khana kha liya “
Tarun – “ jhut to thik se bolo.. . waise mughe sab pata hai tum ne meri wajah se khana nahi khaya. “
Tiya- “ aisa kuch nahi hai “
Tarun – “ tiya tum janti ho.. tum jhut bolti hui bilkul achchi nahi lagti ho.. ab please mughe maaf kr do. “
Tiya kuch nahi bolti hai.. wo roti hui tarun ke gale se lag jati hai.. tiya ke aasuo se tarun ki t-shirt gili ho gayi. Tiya apna chehra tarun ki chati me chupa rahi hai. tarun tiya ko apni baho me bhar leta hai. or uske aasuo ko pochta hai.. or uske mathe pr ak kiss deta hai. itne me tina gate pr khana le kr aa jati hai.
Tina – “ bahut dino ke baad aisa bhai – bahan ka payar dekhne ko mila hai.”
Itna kahte hue. Tina plate ko tarun ke bed pr rakh deti hai.. tarun or tiya comfatable ho kr baith jate hai.
Tina – “ jab tum bhai- bahan ka bhart-milap khatm ho jaye to khana kha lena. Mai chalti hu. “
Itna kah kr tina apne room me chali jati hai. or tarun apne hatho se tiya ko khana khilata hai. tiya bhi tarun ko thoda sa khana khilati hai.. ab tarun tiya ko le kr uske room me jata hai. tiya apne bed pr let jati hai. uske sar ke paas tarun bhi baith jata hai.. tiya ko apne gift wali baat yaad aati hai.
Tiya - “ bhai mera gift kaha hai “
Tarun – “ konsa gift ? “
Tiya – “ wahi jo tum mere liye laaye ho “
Tarun – “ wo gift to maine sonam ke ghar bhijwa diya. “
Tiya ye sun kr ak jordar ghusa tarun ki jangh pr marti hai.. tarun ko ye majak bahut mehanga pada. . phir bhi wo hasta hua.. tiya ko hug karta hai. tiya abhi thode gusse me thi.
Tiya – “ bhai mughe aise majak pasand nahi hai. tum jaldi batao mera gift kaha hai..:
Tarun ke pas koi gift nahi tha. Lekin wo tiya ko phir se naraz nahi karna chahta tha.
Tarun – “ abhi nahi kal dunga “
Tiya – “ nahi bhai mughe abhi chahiye “
Tarun – “ tiya abhi mere pas nahi hai, maine online order diya hai. kal tak aayega. “
Tiya ye sun kr wapas let jati hai tiya ka sar tarun ki jangh ke upper rakha hai. Tabhi tarun ko tannu ki yaad aati hai.. abhi 10:30 ho rahe the. Wo turant apne room ki or jane ka sochta hai..
Tarun – “ tiya tum so jao. Mai chalta hu. “
Tiya- “ bhai thodi der or baitho na.. mughe achcha lag raha hai.”
Post a Comment