Kuch der tak tarun games khelta raha. uske baad tarun bathroom me ja kr fresh hota hai or hall me chala jata hai.. waha Tannu tv dekh rahi hai.. Or kamini dinnig table pr sabjiya kaat rahi hai.. tarun tannu ke sath sath sofe pr baith jata hai.. tannu tv pr movie dekh rahi thi. Tarun ko tv dekhna jayada pasnad nahi hai.. .. mre man se wo tv ko gur kr dekhta rahta hai. tabhi ghar ke landline phone ki ring bajti hai. call kamini attend karti hai.
Kamini – “ hello.. “
Ye call sonam ka tha ( tiya ki school friend)
Sonam – “ hello aunty .. sonam here, mughe tiya se baat karni hai. “
Kamini – “ thik hai beta wait karo mai tiya ko bulati hu “
Itna kaha kr kamini tiya ko jar se aawaj lagati hai.. lekin tiya ka koi response nahi aata. Tab kamini tarun ko tiya ko bulane ke liye bhejti hai. tarun ka bilkul man nahi hai tiya ka samna karne ka.. kiyoki jo baate tiya ke sath tarun ne ki thi.. usske baad wo tiya se nazre milane se bachane ki kosis kr raha tha.. lekin kamini ke kahne pr upper tiya ke room ki or chal deta hai. waha usse tina aati hui dikhti hai. usse dimag me idea aata hai.
Tarun – “ tina di , aap tiya ko bol do. Uske kisi friend ka phone hai.. wo baat krle. “
Itna kah kr tarun sidiyo ke paas khada ho jata hai.or tina tiya ke room pr knock karti hai.
Tina- “ tiya.. teri friend ka call hai.. baat kar le. “
Ander se koi response nahi aata.. tina dobara bolti hai
Tina – “ tiya. Sun rahi hai ya nahi.. teri friend ka call hai .. “
Iss bare ander se tiya ki aawaj aati hai jo bahut rudd hai
Tiya – “ ha sun liya maine.. mughe abhi mood nahi hai.. mai baad me baat kr lungi. “
Tiya bahut rudly baat kr rahi hai.. tina itna sun kr thode gusse me apne room me chali gayi. Or tarun ke to rongte khade ho gaye tiya ka ye roop dekh kr.. wo chup chap niche aa gaya. Kamini ab kitchen me thi.
Tarun – “ mom tiya ka abhi mood nahi hai “
Kamini- “ ok to tu uski friend ko bol de.. bechari bahut time se hold pr hai. “
Itne me tarun phone ka receiver kaan se lagata hai.
Tarun – “ hey tiya ka mood abhi bahut kharab hai.. wo tum ko baad me call kr legi.. tum apna naam bata do “
Sanam – “ sonam.. naam to yaad rahega na “
Tarun – “ sonam ,,,, ha yaad hai “
Sonam – “ naam hi yaad hai ya kuch or bhi yaad hai. ”
Tarun – ( ak naughty smile ke sath.. or anjan bante hue. ) “ nahi aisa to kuch yaad nahi hai “
Sonam – “ next time miloge to sab yaad dila dungi. “
Tarun – “ ok dekhte hai. “
Soanam – “ to batao.. ab kab miloge. “
Tarun – “ pata nahi “
Sanam – “ kal tiya ko chodne ya lene nahi aaoge kya..? “
Tarun – “ abhi kuch nahi pata . kal ki kal dekhenge. “
Itne me samne se tannu aati hui dikhti hai. or tarun bye bol kr phone cut kr deta hai.
Tannu – “ tum tiya ki friend se itni kya baat kr rahe the. “
Tarun – “ kuch nahi wo puch rahi thi. Tiya ka mood kyo kharab hai.. aaj unko kuch jayad hi home diya hai etc..“
Tannu – “ huh “
Uske baad tannu kitchem me chali gayi. Or kamini ki help karne lagi. Tarun tv dekhne me busy ho gaya. Tarun abhi tiya ke bare me soch raha tha.. usse aisa lag raha tha shayad ussne kuch jayada bol diya hai.. lekin tiya ke sath aisa karna jaruri tha.. tarun kahi na kahi khud se naraz bhi tha.. lekin usse ye bhi lag raha tha ki wo bilkul sahi hai.. ab tarun dohre jaal me fas gaya tha.. usse khud samgh me nahi aa raha tha ki kya kare.. aise hi puri sham bit jati hai. ab tarun apne kamre me laptop pr kuch kaam kr rha tha. Tabhi tina room me enter hoti hai.
Tina – “ bhai mom bula rhai hai.. dinner ke liye. “
Tarun – “ ok di aap chaliye mai aata hu. “
Tina waha se chali jati hai. or kuch der me tarun bhi dinning hall me chala jata hai. waha pr sabhi the.. sirf mayak or tiya nahi the..
Tarun – “ mom dad nahi aaye. “
Kamini – “ nahi beta wo night me lait aayenge. “
Tarun chair pr baith jata hai. or bgal me tina baithi hai. Samne Taniya baithi hai. tarun ne tiya ko nahi dekha to tina se puchta hai
Tarun – ( dhire se fusfusate hue ) “ di tiya nahi aayi “
Tina – “ nahi usse bhuk nahi hai “
Tarun samgh gaya tha ki. Usse bhuk kyo nahi hai. ab usse khud pr gussa aa raha hai. lekin ab wo kya kare.
Tarun – “ di ak bare or bulao na usse “
Tina – “ ab mera upper jane ka man nahi hai.. tu khud kyo nahi jata “
Itna sun kr tarun chup ho gaya or sochne laga jau ya na jau.. lekin tiya uski bahan hai. or wo bhuki hai.. itna soch kr wo tiya ke room ki or chal diya, room ka door lock tha.. tarun door pr knock karta hai..
Tarun – “ tiya , mai hu tarun tera bhai “
Ander se response nahi aaya
Tarun – “ tiya chal dinner kr le.. mai tughe bulane aaya hu.”
Tiya – “ mughe bhuk nahi hai.. mai baad me kha lungi. Abhi jao yaha se or mughe padne do “
Tarun – “ thik hai lekin ak baar gate to khol .. “
Tiya – “ nahi mughe distrb mat karo.. mai pad rahi hu. “
Tarun itna sun kr dinning hall ki or chal diya. Wo tiya se jayada bahas nahi kr sakta tha. Usse ab tiya ki kuch jayada hi fikr hone lagi. Kuch der me sabhi ne dinner khatm kiya.. or apne apne room ki or chal diye.. wahi pr kamini or tannu kitchen me kuch kaam rne lage.. wo log waha kal ke liye kuch taiyari kr rahe the.. shayad kuch special tha. Tarun apne room me bed pr baitha tiya ke bare me soch raha hai.. uska gate khula hai jaha se tiya ke room ke gate bhi dikhayi de raha hai.. tarun wait kr raha hai ki tiya dinner kr le.. abhi usse tannu ke baare me kuch yaad nahi tha ki. Wo aaj night me aane wali hai.tarun aise hi waha baitha raha kuch der baad tarun tiya ke room ki or jata hai.. or door pr knock krta hai.
Tarun – “ tiya please darwaja kholo mughe tumko ak bahut important baat bolni hai. “
Iss baar tiya ka turant answer aa jata hai. jaise wo tarun ka wait kr rahi thi.
Tiya – “ mughe abhi koi baat nahi karni. “
Tarun – “ tiya please darwaja to khol… mai sach bol raha hu. Tere liye mai ak special gift laya hu “
Tiya – “ kya hai “
Tarun – “ pahle gate kholo, phir bataunga. “
Tiya – “ nahi…. mughe koi gift nahi chahiye tum jao. “
Tarun ka ab koi plan kaam nahi kr raha tha. Wo soch raha tha kaise tiya ko khush kare.. wo iss baare me sochta hua.. apne room ki or ja raha hai ki achanak uska pair fisalta hai. or sar diwar me ja kr lagta hai.. tarun ki dard bhari chik nikal jati hai. isse sun kr tiya bhag kr apne room se bahar aa jati hai. tarun abhi bhi jamin pr pada hua hai.. waha Taniya or tina bhi aa jati hai. niche se kamini chilati hai
Kamini – “ beta kya hua.. ? “
Tarun – “ kuch nahi mom wo mai gir gaya tha. “
Tina or tiya tarun ko sambhal kr utane lagti hai. lekin Taniya wapas apne room me ja chuki thi.
Kamini – “ beta jayada chot to nahi lagi “
Tarun – “ no mom.. I am ok “
Kamini itna sunn kr wapas apne kaam me wayast ho jati hai. tina or tiya tarun ko uske room me le jati hai. tina . tarun ki chot ka muayna karti hai. jayada chot nahi thi.. tina first ads box lene chali jati hai. tiya abhi bhi tarun ka hath pakad kr wahi baithi hai.
Tarun – “ tiya…thanks. “
Tiya ki aakho me aasu the.
Tiya – “ kisliye “
Tarun – “ meri itni care karne ke liye, mughe sambhale ke kiye.. “
Tiya kuch nahi bolti..sirf apna face dusri or ghuma leti hai. abhi bhi tiya ki aakho se aasu baha rahe the. Itne me tina first ads box le kr aati hai. or tarun ka treatment start karti hai. isse tarun ko kafi jalan hoti hai. tarun ne tiya ka hath pakada hua hai. wo usse or jor se dabata hai.. ise tiya ko taklif hoti hai. lekin wo kuch nahi bolti.kuch der baad..
Post a Comment